Pregledi: 1475 · Update: 2024-07-02 00:00:02

Bollywood Soundtracks - Ye Hum Aa Gaye Hain Kahaan

Prijavi grešku

Bollywood Soundtracks - Ye Hum Aa Gaye Hain Kahaan - 2004


Lehraati huwi raahein, khole huwe hain baanhein
Ye ham aa gaye hain kahaan

Palkon pe gehre halke, hai reshmi dhundhalke ke
Ye ham aa gaye hain kahaan
Aa? ye ham aa gaye hain kahaan

Woh dekho zara, parbaton pe ghataayein
Hamaari daastaan, holle se sunaaye

Suno toh zara, ye phoolon ki waadi
Hamaari, hi koyi, kahaani hai sunaati

Sapnon ke is nagar mein, yaadon ki rehguzar mein
Ye ham aa gaye hain kahaan

Haan.. ye ham aa gaye hain kahaan

Jo raahon mein hai, rut ne sona bikhera
Sunehra huwa, tera mera savera

Zameen so gayi, barf ki chaadaron mein
Bas ek, aag si, jalti hai do dilon mein

Hawaayein sansanaayein, badan kaanp jaayein
Ye ham aa gaye hain kahaan

Haan ye ham aa gaye hain kahaan

Ye barsaat bhi, kab thamein kaun jaane

Tumhein mil gaye, pyaar ke sau bahaane

Sitaaron ki hai, jaise baaraat aayi

Hamaare liye, raat yun dagmagaayi

Sapne bhi jhilmilaayein

Dil mein diye jalaayein

Ye ham aa gaye hain kahaan

Haan ye ham aa gaye hain kahaan

Haan ye ham aa gaye hain kahaan