Pregledi: 1541 · Update: 2024-07-02 00:00:02

Bollywood Soundtracks - Ye Fizaein

Prijavi grešku

Bollywood Soundtracks - Ye Fizaein - 2005


Hey yeh fizaayein, hey sun lo gaaye
Zindagi hai haseen aur jawaan

Har lamha hai meherbaan, har pal hai khushi
Paa hi gaya yeh kaarvaan manzil pyaar ki

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain - 2

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain

Hey yeh fizaayein, hey sun lo gaaye

Geeton ka mausam hai, khwaabon ka aalam hai
Ab hosh kam kam hai haan

Jeevan ki raahon mein tum ho nigaahon mein
Baahein hain baahon mein haan

Har dil deewaana hai ab yeh jaana 
Kyoon hai haseen yeh sama

Har lamha hai meherbaan, har pal hai khushi
Paa hi gaya yeh kaarvaan manzil pyaar ki

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain

Hey yeh fizaayein, hey sun lo gaaye

Sab din sunehre hain, sab nashe gehre hain
Pyaare sab chehre hain haan

Ab halke halke se rang hai chhalke se
Aanchal hai dhalke se haan

Jo dilkashi hai, jo taazgi hai
Kaise karoon main bayaan

Hey yeh fizaayein, hey sun lo gaaye
Zindagi hai haseen aur jawaan

Oh har lamha hai meherbaan, har pal hai khushi
Paa hi gaya yeh kaarvaan manzil pyaar ki

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain - 2

Din jo suhaane hain to dil deewaane hain - 2